Sunday 16 August 2015

Wadi e Kaghaan Mai Guzre Chand Lamhe

Jab bhi kisi sair o tafree say dilchaspi rakhne wale kay samne Naraan o Kaghaan ka naam lia jata hai tu wo ash ash kiye baghair nahin rehta, agar zindagi mai aik dafa bhi jane ka ittafaq hoa ho tu Jheel Saif ul Mullok , Lalazaar aur is say agay kay ankhoon ko tazgi daine wale manazir ankhon mai aik bar phir nae rooh phook daite hain aur sath he agar Naraan o Kaghaan ka naam na-ashna logo kay samne liya jata hai kay jinhone iski khoobsurti ko na daikha hoa ho tu wo bhi ye to kam az kam keh dia krte hain kay "Suna hai kay bhut khoobsurat jaga hai ye"....

You tu kae dafa Pakistan Tour pai jana hoa aur kae baar  Naraan o Kaghaan ka safar bhi hoa par is saal , is dafa chand lamhe jo Kaghaan Valley mai wahan kay bacho kay sath batoon aur khail mai guzre wo yadgaar mai say hain, jo sirf mujhy he nahin unhe bhi yad rahegay....






Darya e Kunhaar kay kinare waqay is shehar mai qudrat kay intahai haseen manazir mujood hain, sath he yahan kay aman o sukoon aur pur kaif hawao nai yahan kay logo ko bhi khoof muhabbat wali tabbiyat say nawaza hai



Chain pulley ki madad say darya paar kar kay is wadi mai dakhil hoe tu aisa mehsoos hoa kay goya dunia he badal gae hain yahan ye ghass o patton ka rung aur uski mehak kuch ajeeb he the, us roz pora din tabyat apni sahe halat pai na the par jab say wahan gaya tu tabyat mai intahai sukoon o behtari mehsoos ki


Jab maine wahan khelte hue bachoon ki tasaweer laini shorow ki tu unkay action aur unki khushi is bat ka izhaar kar rhe the kay wo sayyahoon ki di hue muhabbat say bhut khushi mehsoos kar rhe hain...


Mujhy aik bat tu hamesha ye yad rhe gi kay maine jab un bacho kay samnay facebook ka naam lia aur poucha kay unhe iska ilm hai kay nahin tu wo bache yak zabaan ho kay bole kay hamri ID bhi hai facebook par....mai intahai hairaan reh gaya kay shehar say door hone kay bawajood yahan kay bacho tak mai social media ki dewangi pae jati hai....









No comments:

Post a Comment

I travelled today about 14 km on Sharah e Faisal Karachi during Aftari hours , i found 140 peoples or groups sharing or managing aftari for ...