Tuesday 30 June 2015

Meri Har Soo Jisne Hifazat Ki

Insan dunia walo ki nazar mai us waqt tawajja ka markaz banta hai kay jab wo is alam e hawa o paani mai janam laita hai .... par Maa kay liye wo us waqt bhi khususi tawwaja ka markaz hota hai kay jab Insan kay dil nai bhi abhi dharakna nahin shorow kia hota...


Monday 22 June 2015

Remembering Past

As growing up , different thoughts and different perespectives enabling me to saw world with a new angle but when this all happening or moving towards maturity what ever i had done stupidity always give me lesson but there is no one having stricking power to tease or ask question because this was an upbringging age every step is of learning one , when sitting with friends having gossip about life really amazed me.... but now all become just memories and now if i commet any a single or a little mistake hundered of questions arose from surronding because i hsve crossed teen age / student life.....

I really now admit student life is the supreme life to live, not living in imaginary space i also agree it will not returns back


Sunday 21 June 2015

Loud Speaker Band Kia Jae

"Aur jab Qur'aan parha jaya kary to iski janib kaan laga dia karo (yani ghaur say suno) aur khamosh raho ta kay tum pai reham ho "

[Al-A'araaf :204]

Ye hukum qur'aan nai hume diya hai ta kay hume Qur'aan e kareem ka ehtiraam aur uski manzilaat o ehmiyat ka ehsaas hoo ....

par kae saloon say daikha ye jarha hai kay shadi biya aur deegar gharelo taqreebat ki tarha ab Deeni Mahafil Bil khusoos Masajid mai dauraan e namaz Loud Speaker ka Intahai bai'ja istamaal kiya jane laga hai, phele phail to sirf dauraan e namaz logo ki asani kay liye masjid ki hudood mai he loud speaker ka istamal hota raha par ab kuch saloon say Loud Speaker ki awaz ko itni azadi dai di gae hai kay wo aik nahin bal kay kae mehallon tak uski awaz ja pohchti hai (maze ki bat ye hai kay masajid mai maujood namaziyon tak bilkul saaf awaz nahin pouch pati hai) aur aik he waqt mai kae masajid say is tarha awaz ka azadi kay sath gounjnay kay ba'is apas mai ghalat mallat hoti nazar arhe hai.... natija ye hua aam insani kano mai alfaaz kuch is tarha murattab horhe hain kay aik lafz aik masjid say ani wali awaz ka tu dosra kisi aur janib say ani wali awaz ka......

Ab jab kay Dauraan e taraveeh 1 say 3/2 ghanta musalsaal Qur'aan ki tilwat ki awaz poray mehally mai ghounj rahe hoti hai to ayat kay mutabiq jis jis kay kaano mai awaz jae usy ehtiramaan kaam kaaj chor kar tawajjo say sunna lazim hai , laita hai to baith jae chal raha hai tu ruk jae, aisa karna he Qur'aan ka adab hoga.....

ab chu kay isa ho nahin sakta so lihaza mehsoos yehe hota hai kay jo Gunaah horha hai uska zimmadar Ya to mehallay wale hongay kyon kay wo adab baja nahin la rhe ya to masajid intazamia hogi kay uski ghalti hai kay wo ehtiyaat nahin kar rhe.....



Friday 19 June 2015

Sehri Ka Dastar Khwaan

Pak o hind ki jahan bahut si munfarid rasomaat hain unhe mai say aik ye bhi hai kay yahan kay log jahan waqt ki munasbaat say kapre pehanty hain jaisay Pakistan mai Shadi kay roz Dulha Sherwani aur India mai eham mauqo par kameez shalwaar ko tarjeeh di jati hai.... bilkul isi tarha agr bat pakwaan ki jae jae to is mai bhi yahan kay log kam nhn Eid ul Azha pai khoob ghosht ka daur daura hota hai wahe Ramadaan mai Aftari par khoob pakoray aur zikr nikle agr sehri ka to sehri mai jahan nashta jo kay bataur sehri kia jata hai mai bhi khoob raunaqain hoti hain aik mai Makhsoos chez Phaini o Khajla hai .... jahan ye basin o maiday say tail mai bhego kar banae jati hain wahe isy dhoodh mai dibo kay khaya bhi jata hai, aik taraf tu maida itni subha khane ka aadi nahin hota upar say Paratha , Anda , Chae kay sath Phaini bardhasht karna aur mushkil hojata hai....

Phele kay daur mai kaha jata tha kay ramadaan kay bad wazan kam hojata hai par Sehri o Aftari kay dastar khwaan ki barkat say wazan kam hone kay barh jata hai....



Tuesday 16 June 2015

Highly Refreshing Evening

After many days of hard shines; from today's evening weather of karachi is now in changing position.... 

#Following picture is taken at Khokhar Club Shah Faisal Colony (near to my sweet home)


Sunday 14 June 2015

Really Times Back

As i remember to my childhood we (childrens) amazed whenever a monkey or a camel comes to our street, we all stand together, wellcoming them and enjoyed with them .... but as the situation of the karachi city becomes, today's child having not these kinds of enjoyments , they even dont know about these kinds of small happeness and exciting things, they are only familiar with Dharna , Strike , Protest , Killing etc or having gossip only about facebòok , whatsaap...
But yesterday , after a long time i saw camel in my street , i saw children becomes mad/die to sit onto camel (for once i am standing there and just remebering my memories for the same event...with a smile)....

i cant forget smile and happeness on children's faces , i conculuded it on a sentence "Really times back"

Friday 12 June 2015

I Am Khi Travelogues Nay Kia Seekhaya?

I Am Khi Travelogues ; ye organization ya firm ka naam hai? nahin bilkul nahin, ye na he kisi organization ka naam hai aur na he ye kisi travel agency ka kay jo karachi kay mukhtalif elaqo mai transport ki service muhiyya karti ho.
Travelogues Karachi aik tarbia'ti amal ka naam hai jo apne talaba ko mash'raay mai rehne , mash'ray ki talkh haqiqaton jo jannay kay bawajood , us mai tarha tarha kay ghambheer masael mai gheray rehne kay bawajood, ehtiraam, aman , ittehad, aur mashray mai masbat sargarmiyoon kay zariay khushiyaan bikherne ka saliqa sikhata hai........


Is ki misaal you li jasakti hai kay dunia ka kon sa hissa hai kay jahan aman o amaan , mashraat, mashiyaat ki buri halat nahin? par in sab kay bawajood dunia mai tarraqi aur khushali kyon horhe hai? waja sirf yehe hai kay unhone 100 mai say 2 sahe cheezon pai tawajja di aur kamiyaab hoe aur hamre mashray ki kharabi ka  bais ye bana kay hum nay halaat kay paish e nazar 98 batoon ko yad rakha........


Travelogues  Karachi ki ye khasiyaat bani kay usne un 2 par tawajja di kay jin kay agay 98 batain pheeki par gae,Iski misaal Zeer e nazar tasweer hai jis kay 2 rukh hain aik ye kay karachi mai barhti hue abadi kay bais transport ki intahai kami waqae hogae hai , gari ya bike ka mehanga safar bardasht na karne kay bais log majboran buses mai safar karne pai majboor hain aur hukomat awami zaroriyaat ko pora karne mai na kaam hogae hai......
ye wo rukh hai jo shyaad aksar ahbaab souch rhe hongay....

Aik Rukh ye bhi hai;jo waja meri is tasweer ko karachi ki eham sharah pai bike chalate hue khatre ko moor laite hue bani wo the Travelogues Karachi ki tarbiyaat.... maine is tasweer ko is bina lia kay mai apne RAB ka shukar guzaar hoon kay usne mujhy bike di warna thora arsa phele mai bhi kuch yuhe buses mai sawaar hoa karta tha aur  mai bhi tanqeed  karne walo mai say tha....

Travelogues Karachi ki aik maah ki tarbiyaat say kam az kam itna to mai seekh gaya;Masbat souch hamesha insan ko kamiab karti hai-


#iamkhi
#TraveloguesKarachi
#Rocks



Wednesday 10 June 2015

Khamosh Awaz..........

Ye tasweer Babu-sar top Gilgit-Baltistan ki hai, mere safar ki ye wo pheli jaga the kay jis nay mujhy intahai muta'asir kia tha, yahan aik ajab ki khamoshi the , badal sir par thy aur baraf kay chand asraat atraaf mai nazar arhe thy, badal suraaj aur zameen kay darmaiyaan is tarah aya hoa tha kay saya aur roshani dono aik sath kamaal ka manzar paish kar rhe the..... mujhy aik khamosh awaz si apne kano mai mehsoos horhe the jis mai taiz chalti hue hawa aur behtay pani ki awaz shamil the.... jis nay mujhy is manzar aur is qudrati khoobsurti kay mutalliq souchne pai majboor kardia..... isi doraan maine bht say umoor par tawajju kay sath soucha aur mainaa kheez nataij bhi hasil kiye..... par agar humsafar ki awaz na ati kay chal gari chalne ko hai to mai is waqt aur jaga say bahut kuch hasil karne mai kamiyab hojata

Blogging

Finally i have started blogging


I travelled today about 14 km on Sharah e Faisal Karachi during Aftari hours , i found 140 peoples or groups sharing or managing aftari for ...