Wednesday, 10 June 2015

Khamosh Awaz..........

Ye tasweer Babu-sar top Gilgit-Baltistan ki hai, mere safar ki ye wo pheli jaga the kay jis nay mujhy intahai muta'asir kia tha, yahan aik ajab ki khamoshi the , badal sir par thy aur baraf kay chand asraat atraaf mai nazar arhe thy, badal suraaj aur zameen kay darmaiyaan is tarah aya hoa tha kay saya aur roshani dono aik sath kamaal ka manzar paish kar rhe the..... mujhy aik khamosh awaz si apne kano mai mehsoos horhe the jis mai taiz chalti hue hawa aur behtay pani ki awaz shamil the.... jis nay mujhy is manzar aur is qudrati khoobsurti kay mutalliq souchne pai majboor kardia..... isi doraan maine bht say umoor par tawajju kay sath soucha aur mainaa kheez nataij bhi hasil kiye..... par agar humsafar ki awaz na ati kay chal gari chalne ko hai to mai is waqt aur jaga say bahut kuch hasil karne mai kamiyab hojata

No comments:

Post a Comment

I travelled today about 14 km on Sharah e Faisal Karachi during Aftari hours , i found 140 peoples or groups sharing or managing aftari for ...