I
Am Khi Travelogues ; ye organization ya firm ka naam hai? nahin bilkul nahin,
ye na he kisi organization ka naam hai aur na he ye kisi travel agency ka kay
jo karachi kay mukhtalif elaqo mai transport ki service muhiyya karti ho.
Travelogues Karachi aik
tarbia'ti amal ka naam hai jo apne talaba ko mash'raay mai rehne , mash'ray ki
talkh haqiqaton jo jannay kay bawajood , us mai tarha tarha kay ghambheer
masael mai gheray rehne kay bawajood, ehtiraam, aman , ittehad, aur mashray mai
masbat sargarmiyoon kay zariay khushiyaan bikherne ka saliqa sikhata
hai........
Is ki misaal you li jasakti
hai kay dunia ka kon sa hissa hai kay jahan aman o amaan , mashraat, mashiyaat
ki buri halat nahin? par in sab kay bawajood dunia mai tarraqi aur khushali
kyon horhe hai? waja sirf yehe hai kay unhone 100 mai say 2 sahe cheezon pai
tawajja di aur kamiyaab hoe aur hamre mashray ki kharabi ka bais ye bana
kay hum nay halaat kay paish e nazar 98 batoon ko yad rakha........
Travelogues Karachi
ki ye khasiyaat bani kay usne un 2 par tawajja di kay jin kay agay 98 batain
pheeki par gae,Iski misaal Zeer e nazar
tasweer hai jis kay 2 rukh hain aik ye kay karachi mai barhti hue abadi kay
bais transport ki intahai kami waqae hogae hai , gari ya bike ka mehanga safar
bardasht na karne kay bais log majboran buses mai safar karne pai majboor hain
aur hukomat awami zaroriyaat ko pora karne mai na kaam hogae hai......
ye wo rukh hai jo shyaad aksar ahbaab souch
rhe hongay....
Aik Rukh ye bhi hai;jo waja meri is tasweer
ko karachi ki eham sharah pai bike chalate hue khatre ko moor laite hue bani wo
the Travelogues Karachi ki tarbiyaat.... maine is tasweer ko is bina lia kay
mai apne RAB ka shukar guzaar hoon kay usne mujhy bike di warna thora arsa
phele mai bhi kuch yuhe buses mai sawaar hoa karta tha aur mai bhi
tanqeed karne walo mai say tha....
Travelogues Karachi ki aik
maah ki tarbiyaat say kam az kam itna to mai seekh gaya;Masbat souch hamesha
insan ko kamiab karti hai-
#iamkhi
#TraveloguesKarachi
#Rocks

No comments:
Post a Comment