To be happy with your life ... so you don't necessary to have education-etiquette-wealth or either relations
Sunday, 18 October 2015
Sunday, 16 August 2015
Wadi e Kaghaan Mai Guzre Chand Lamhe
Jab bhi kisi sair o tafree say dilchaspi rakhne wale kay samne Naraan o Kaghaan ka naam lia jata hai tu wo ash ash kiye baghair nahin rehta, agar zindagi mai aik dafa bhi jane ka ittafaq hoa ho tu Jheel Saif ul Mullok , Lalazaar aur is say agay kay ankhoon ko tazgi daine wale manazir ankhon mai aik bar phir nae rooh phook daite hain aur sath he agar Naraan o Kaghaan ka naam na-ashna logo kay samne liya jata hai kay jinhone iski khoobsurti ko na daikha hoa ho tu wo bhi ye to kam az kam keh dia krte hain kay "Suna hai kay bhut khoobsurat jaga hai ye"....
You tu kae dafa Pakistan Tour pai jana hoa aur kae baar Naraan o Kaghaan ka safar bhi hoa par is saal , is dafa chand lamhe jo Kaghaan Valley mai wahan kay bacho kay sath batoon aur khail mai guzre wo yadgaar mai say hain, jo sirf mujhy he nahin unhe bhi yad rahegay....
You tu kae dafa Pakistan Tour pai jana hoa aur kae baar Naraan o Kaghaan ka safar bhi hoa par is saal , is dafa chand lamhe jo Kaghaan Valley mai wahan kay bacho kay sath batoon aur khail mai guzre wo yadgaar mai say hain, jo sirf mujhy he nahin unhe bhi yad rahegay....
Darya e Kunhaar kay kinare waqay is shehar mai qudrat kay intahai haseen manazir mujood hain, sath he yahan kay aman o sukoon aur pur kaif hawao nai yahan kay logo ko bhi khoof muhabbat wali tabbiyat say nawaza hai
Chain pulley ki madad say darya paar kar kay is wadi mai dakhil hoe tu aisa mehsoos hoa kay goya dunia he badal gae hain yahan ye ghass o patton ka rung aur uski mehak kuch ajeeb he the, us roz pora din tabyat apni sahe halat pai na the par jab say wahan gaya tu tabyat mai intahai sukoon o behtari mehsoos ki
Jab maine wahan khelte hue bachoon ki tasaweer laini shorow ki tu unkay action aur unki khushi is bat ka izhaar kar rhe the kay wo sayyahoon ki di hue muhabbat say bhut khushi mehsoos kar rhe hain...
Mujhy aik bat tu hamesha ye yad rhe gi kay maine jab un bacho kay samnay facebook ka naam lia aur poucha kay unhe iska ilm hai kay nahin tu wo bache yak zabaan ho kay bole kay hamri ID bhi hai facebook par....mai intahai hairaan reh gaya kay shehar say door hone kay bawajood yahan kay bacho tak mai social media ki dewangi pae jati hai....
Tuesday, 21 July 2015
Confused
When i was just thinking about blogging, one thing comes to my mind first that if i do so then firstly i have to change my perespective of observense because it will directly affect my writtings or basically i want to write about imaginary life where all things are good ,every event will feel happy.... after that in starting i wrote those who makes me happy.... but now be a part of this society/atmosphere, i failed to continue my fundamental theme for blogging... thats why even i did not wrote for twenty days.... 24/7 there are so many majors that i must have to neglect (that are those whom depressed me) ... but my nature does not enables me to neglect ... i am totally confused... whether i have continue or quiet .....
Those who read my blogs shall also help me for overcomming from this problem....
Those who read my blogs shall also help me for overcomming from this problem....
Tuesday, 30 June 2015
Meri Har Soo Jisne Hifazat Ki
Insan dunia walo ki nazar mai us waqt tawajja ka markaz banta hai kay jab wo is alam e hawa o paani mai janam laita hai .... par Maa kay liye wo us waqt bhi khususi tawwaja ka markaz hota hai kay jab Insan kay dil nai bhi abhi dharakna nahin shorow kia hota...
Monday, 22 June 2015
Remembering Past
As growing up , different thoughts and different perespectives enabling me to saw world with a new angle but when this all happening or moving towards maturity what ever i had done stupidity always give me lesson but there is no one having stricking power to tease or ask question because this was an upbringging age every step is of learning one , when sitting with friends having gossip about life really amazed me.... but now all become just memories and now if i commet any a single or a little mistake hundered of questions arose from surronding because i hsve crossed teen age / student life.....
I really now admit student life is the supreme life to live, not living in imaginary space i also agree it will not returns back
I really now admit student life is the supreme life to live, not living in imaginary space i also agree it will not returns back
Sunday, 21 June 2015
Loud Speaker Band Kia Jae
"Aur jab Qur'aan parha jaya kary to iski janib kaan laga dia karo (yani ghaur say suno) aur khamosh raho ta kay tum pai reham ho "
[Al-A'araaf :204]
Ye hukum qur'aan nai hume diya hai ta kay hume Qur'aan e kareem ka ehtiraam aur uski manzilaat o ehmiyat ka ehsaas hoo ....
par kae saloon say daikha ye jarha hai kay shadi biya aur deegar gharelo taqreebat ki tarha ab Deeni Mahafil Bil khusoos Masajid mai dauraan e namaz Loud Speaker ka Intahai bai'ja istamaal kiya jane laga hai, phele phail to sirf dauraan e namaz logo ki asani kay liye masjid ki hudood mai he loud speaker ka istamal hota raha par ab kuch saloon say Loud Speaker ki awaz ko itni azadi dai di gae hai kay wo aik nahin bal kay kae mehallon tak uski awaz ja pohchti hai (maze ki bat ye hai kay masajid mai maujood namaziyon tak bilkul saaf awaz nahin pouch pati hai) aur aik he waqt mai kae masajid say is tarha awaz ka azadi kay sath gounjnay kay ba'is apas mai ghalat mallat hoti nazar arhe hai.... natija ye hua aam insani kano mai alfaaz kuch is tarha murattab horhe hain kay aik lafz aik masjid say ani wali awaz ka tu dosra kisi aur janib say ani wali awaz ka......
Ab jab kay Dauraan e taraveeh 1 say 3/2 ghanta musalsaal Qur'aan ki tilwat ki awaz poray mehally mai ghounj rahe hoti hai to ayat kay mutabiq jis jis kay kaano mai awaz jae usy ehtiramaan kaam kaaj chor kar tawajjo say sunna lazim hai , laita hai to baith jae chal raha hai tu ruk jae, aisa karna he Qur'aan ka adab hoga.....
ab chu kay isa ho nahin sakta so lihaza mehsoos yehe hota hai kay jo Gunaah horha hai uska zimmadar Ya to mehallay wale hongay kyon kay wo adab baja nahin la rhe ya to masajid intazamia hogi kay uski ghalti hai kay wo ehtiyaat nahin kar rhe.....
Friday, 19 June 2015
Sehri Ka Dastar Khwaan
Pak o hind ki jahan bahut si munfarid rasomaat hain unhe mai say aik ye bhi hai kay yahan kay log jahan waqt ki munasbaat say kapre pehanty hain jaisay Pakistan mai Shadi kay roz Dulha Sherwani aur India mai eham mauqo par kameez shalwaar ko tarjeeh di jati hai.... bilkul isi tarha agr bat pakwaan ki jae jae to is mai bhi yahan kay log kam nhn Eid ul Azha pai khoob ghosht ka daur daura hota hai wahe Ramadaan mai Aftari par khoob pakoray aur zikr nikle agr sehri ka to sehri mai jahan nashta jo kay bataur sehri kia jata hai mai bhi khoob raunaqain hoti hain aik mai Makhsoos chez Phaini o Khajla hai .... jahan ye basin o maiday say tail mai bhego kar banae jati hain wahe isy dhoodh mai dibo kay khaya bhi jata hai, aik taraf tu maida itni subha khane ka aadi nahin hota upar say Paratha , Anda , Chae kay sath Phaini bardhasht karna aur mushkil hojata hai....
Phele kay daur mai kaha jata tha kay ramadaan kay bad wazan kam hojata hai par Sehri o Aftari kay dastar khwaan ki barkat say wazan kam hone kay barh jata hai....
Phele kay daur mai kaha jata tha kay ramadaan kay bad wazan kam hojata hai par Sehri o Aftari kay dastar khwaan ki barkat say wazan kam hone kay barh jata hai....
Subscribe to:
Posts (Atom)
I travelled today about 14 km on Sharah e Faisal Karachi during Aftari hours , i found 140 peoples or groups sharing or managing aftari for ...
-
یہ خوبصورت نظارہ جامعہ نعیمیہ (گڑھی شاھو) لاہور کا ہے، اس تصویر کومیں نے جولائی۵۱۰۲ء کو اُس وقت عکس بند کیا کہ جب انجمن طلباء اسلام کے سا...
-
Very Soon https://www.youtube.com/channel/UC_hpimXqmSiY2JImHFqn6sQ Like - Subscribe and don't forget to hit the bell icon for u...









