[Al-A'araaf :204]
Ye hukum qur'aan nai hume diya hai ta kay hume Qur'aan e kareem ka ehtiraam aur uski manzilaat o ehmiyat ka ehsaas hoo ....
par kae saloon say daikha ye jarha hai kay shadi biya aur deegar gharelo taqreebat ki tarha ab Deeni Mahafil Bil khusoos Masajid mai dauraan e namaz Loud Speaker ka Intahai bai'ja istamaal kiya jane laga hai, phele phail to sirf dauraan e namaz logo ki asani kay liye masjid ki hudood mai he loud speaker ka istamal hota raha par ab kuch saloon say Loud Speaker ki awaz ko itni azadi dai di gae hai kay wo aik nahin bal kay kae mehallon tak uski awaz ja pohchti hai (maze ki bat ye hai kay masajid mai maujood namaziyon tak bilkul saaf awaz nahin pouch pati hai) aur aik he waqt mai kae masajid say is tarha awaz ka azadi kay sath gounjnay kay ba'is apas mai ghalat mallat hoti nazar arhe hai.... natija ye hua aam insani kano mai alfaaz kuch is tarha murattab horhe hain kay aik lafz aik masjid say ani wali awaz ka tu dosra kisi aur janib say ani wali awaz ka......
Ab jab kay Dauraan e taraveeh 1 say 3/2 ghanta musalsaal Qur'aan ki tilwat ki awaz poray mehally mai ghounj rahe hoti hai to ayat kay mutabiq jis jis kay kaano mai awaz jae usy ehtiramaan kaam kaaj chor kar tawajjo say sunna lazim hai , laita hai to baith jae chal raha hai tu ruk jae, aisa karna he Qur'aan ka adab hoga.....
ab chu kay isa ho nahin sakta so lihaza mehsoos yehe hota hai kay jo Gunaah horha hai uska zimmadar Ya to mehallay wale hongay kyon kay wo adab baja nahin la rhe ya to masajid intazamia hogi kay uski ghalti hai kay wo ehtiyaat nahin kar rhe.....

No comments:
Post a Comment